Saturday, 25 June 2011

Tazeer-e-ehtimaam-e-chaman kaun day gaya

Tazeer-e-ehtimaam-e-chaman kaun day gaya
Mujh ko gulaab jaisa kafan kaun day gaya

Daikhay jo khad-o-khaal toh socha hai baareha
Sehra ki chaandini ko badan kaun day gaya

Meri jabeen ki saari lakeerain teri atta
Lekin teri qaba ko shikan kaun day gaya

Teray hunar mai khulqat-e-khushboo sahi magar
Kaanton ko umer bhar ki chubhan kaun day gaya

Jungle say poochti hain hawaaon ki barhami
Jugnoo ki tairgi mai kiran kaun day gaya

Kis nay basaaye aankh mai ashkon kay qaaflay
Be-ghar musaafiron ko watan kaun day gaya

Tujh say toh khair pall ki musaafit ka saath tha
Meray badan ko itni thakan kaun day gaya

Todha hai kis nay nok-e-sinaan par sakoot-e-sabr
Lab bastagi ko taab-e-sukhan kaun day gaya

*Mohsin* wo kaayinaat-e-ghazal hai ussay bhi daikh
Mujh say na pooch mujh ko yeh funn kaun day gaya

Ijazat hai


Barg-e-Sehera


Mai chup raha keh zeher yehi mujh ko raas tha

Mai chup raha keh zeher yehi mujh ko raas tha
Wo sang-e-lafz phaink kar kitna udaas tha

Aksar meri qaba pay hansi aa gai jissay
Kal mill gaya toh wo bhi dareeda libaas tha

Mai dhoondhta tha door khalaaon mai ek jism
Chehron ka ek hajoom meray aas paas tha

Tum khush they patharon ko khuda jaan kar magar
Mujh ko yaqeen hai wo tumhaara qayaas tha

Bakhsha hai jis nay rooh ko zakhmon ka perahan
*Mohsin* wo shakhs kitna tabiyat shanaas tha...

کف دست ہنر ہے اور پتھر

کف دست ہنر ہے اور پتھر
دکان شیشہ گر ہے اور پتھر

غم ختم سفر ہے اور پتھر
پلٹ جانے کا ڈر ہے اور پتھر

مرا گھر اور میں کب تک نبھائیں
کہ بوسیدہ کھنڈر ہے اور پتھر

بڑی مشکل سے سرکائے اندھیرے
دہان غار پر ہے اور پتھر!!

غرور عمر کا حاصل نہ پوچھو
خموشی کا نگر ہے اور پتھر

یہی رسوائیوں کی رت ہے محسن
سر بازار سر ہے اور پتھر

عذاب دید میں آنکھیں لہو لہو کر کے

عذاب دید میں آنکھیں لہو لہو کر کے
میں شرمسار ھوا تیری جستجو کر کے

کھنڈر کی تہ سے بریدہ بدن سروں کے سوا
ملا نہ کچھ بھی خزانوں کی آرزو کر کے

سنا ھے شھر میں زخمی دلوں کا میلہ ھے
چلیں ھم بھی مگر پیرھن رفو کر کے

مسافت شب ھجراں کے بعد بھید کھلا
ہوا دکھی ھے چراغوں کو بے آبرو کر کے

زمیں کی پیاس اسی کے لہو کو چاٹ گئی
وہ خوش ھوا تھا سمندر کو آب جو کر کے

یہ کس نے ھم سے لہو کا خراج پھر مانگا
ابھی تو سوئے تھے مقتل کو سرخرو کر کے

جلوس اھل وفا کس کے در پہ پہنچا ھے
نشان طوق وفا زینت گلو کر کے

اجاڑ رت کو گلابی بنائے رکھتی ھے
ھماری آنکھ تیری دید سے وضو کر کے

کوئی تو حبس ہوا سے یہ پوچھتا محسن
ملا ھے کیا اسے کلیوں کو بے نمو کر کے

یوں اکیلے میں!

یوں اکیلے میں اسے عہدِوفا یاد آئے
جیسے بندے کو مصیبت میں خدا یاد آئے

جیسے بھٹکے ہوئے پنچھی کو نشیمن اپنا
جیسے اپنوں کے بچھڑنے پہ دعا یادآئے

جیسے ڈھلتی ہوئی شاموں کو سویرا کوئی
جیسے پنجرے میں پرندے کو فضا یاد آئے

جیسے بوڑھے کو خیالات میں بچپن اپنا
جیسے بچے کو شرارت پہ سزا یاد آئے

جیسے اُجڑی ہوئی بستی کو زمانہ اپنا
جیسے طوفان کے ٹھہرنے پہ دیا یاد آئے

Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay

Kab tulak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay

Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo keh samandar kay safar ko tarsay

Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan
Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay

aab kay iss toor musalat howa andhaira har soo
Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay

Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliq...
Maira dushman mairay marnay ke khabar ko tarsay

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep gohar ko tarsay

na'shana'saye kay mousam ka asar tu daikho!
Aaina khaal o khad e aania gar ko tarsay

Aik dunia hai kay basti hai tairi ankhoon mein
Woh tu hum thay jo tairi ik nazar ko tarsay

Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai mohsin
Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay

Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot

Mausam-e-karb-e-intizar bhi jhooot
Dill na manay tu vasl-e-yaar bhi jhoot

Jhoot hay sab khizaan ka khamyaza
Aks-e-rang-e-rukh-e-bahar bhi jhoot

Maut, teri talab bhi laghzash-e-lab
Zindgy , tera aitibaar bhi jhoooot

Wos’at-e-daastaan-e-shauq , ghalat
Koshash-e-harf-e-ikhtsar bhi jhoot

Khalqat-e-shehr maslihat peshaaa
Warna farman-e-shehr-e-yaar bhi jhoot

Na rasae ko rastay mushkil !
Koor chashmi ko kohsaar bhi jhoot

Door say piyar ko sarab, chanab
Ahl-e-sehra ko aabshaar bhi jhoot

Dastras ka tlism hay warna
Sa’at-e-jabr-o-ikhtiyar bhi jhoot

Perahan khon-e-dill mein tar kar lo
Warna daman-e-taar taar bhi jhoot

Sirf uss ka safar hay sach MOHSIN
Meri raah bhi mera ghubar bhi jhooot

Saja ke sar pe sitaroon ka taaj rakhta hai !

Saja ke sar pe sitaroon ka taaj rakhta hai !
Zameen pe wo bhi falak ka mizaaj rakhta hai

Sanwrnay walay sada ainay ko dhondhtay hein
Bichar ke wo bhi meri ehtiyaaj rakhta hai

Hum uss ke husn ko taskheer kar ke dekhein ge
Jabeen pe kaun shikan ka khiraaj rakhta hai

Teray bagher yahan kaun zeer-e-saya-e-lab
Jaraht-e-dil-o-jaan ka ilaaj rkhta hai
Khafa sai who , sakhawat sarisht jab bhi milay !
Bharam ana ka , muhabbat ki laaaj rakhta hai

saba khiraam , khizaan perahan , bahar badan
Wo mausamoon ka ajab imtizaaaj rakhta hai

Chura ke aankh se kuch khuwaab rakh liay MOHSIN
Kisaaan jesay bacha kar anaaaj rakhta hai

Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say
Jayo So Jayo Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Praishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba Tow Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi 'Mohsin' Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi

Aankhain khuli rahain gi to manzar bhi ayengai

Aankhain khuli rahain gi to manzar bhi ayengai
Zinda hai dil to aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel ke paani ko yun na chairh
Cheenthay uray to teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mein
Sheeshay chamak rahe hain to pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht se fursat nahi — magar!!
Niklay safar pe hum to teray ghar bhi ayengai

*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pe khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai…

itanii muddat baad mile ho

itanii muddat baad mile ho
kin sochon mein gum rahate ho

tez havaa ne mujh se puuchhaa
ret pe kyaa likhate rahate ho

kaun sii baat hai tum mein aisii
itane achchhe kyon lagate ho

ham se na puuchho hijr ke qisse
apanii kaho ab tum kaise ho

bichhar ke mujh se kabhii tuu ne ye bhii sochaa hai

bichhar ke mujh se kabhii tuu ne ye bhii sochaa hai
adhuuraa chaaNd bhii kitanaa udaas lagataa hai

ye vasl kaa lamhaa hai ise raayegaaN na samajh
ke is ke baad vahii duuriyon kaa saharaa hai

kuchh aur der na jharataa udaasiyon kaa shajar
kise Khabar tere saaye mein kaun baiThaa hai

ye rakh-rakhaao muhabbat sikhaa gaii us ko
vo ruuTh kar bhii mujhe muskuraa ke milataa hai

main kis tarah tujhe dekhuuN nazar jhijhakatii hai
teraa badan hai ke ye aaiinon kaa dariyaa hai

Tery jany k bad tera intazar nahi kia

Tery jany k bad tera intazar nahi kia
Juda ho kar tumsy khud ko beqarar nahi kia

Tum ny kaha tha kih pyar sirf mujhy karna
Tumhari khatir khud sy bhi pyar nahi kia

Jo bhi kaha tum ny ussy pura kar dala
Teri kisi bhi bat sy inkaar nahi kia

Mery chhahny par bhi tumny kuch na dia
Khamosh raha tum sy taqrar nahi kia

Tum sy jo pyar kia to teh dil sy kia
ALI ny to kabhi kuch bhi bekar nahi kia

Yunhee khiza'n ka roop suhana laga mujey

Yunhee khiza'n ka roop suhana laga mujey
harr phool fasl e gul mai purana laga mujhey

mai kya kisi pe sang utthaney ki sochta
apna hee jism aaina khana laga mujhey

ai dost jhoot aam tha dunya mai iss qadar
tuney bhi sach kaha to fasana laga mujhey

abb usko kho raha hoo'n barhey ishtiyaq se
wo jisko dhundhne mai zamana laga mujhey

Mohsin hujum e yaas mai marne ka shok bhi
jiney ka ik haseen bahana laga mujhey

Toony Nafrat Se Jo Dekha To Mujhy Yad Aya !

Toony Nafrat Se Jo Dekha To Mujhy Yad Aya !
Kaisy Rishty Teri Khatir Youhi Torr Aya Hoon

Kitny Dhundly Hein Ye Chehry Jinhe Apnaya He
Kitni Ojli Thee Wo Ankhein Jinhe Chorr Aya Hoon

Ojrry Hoey Logon Se Gurezaan Na Raha Kar

Ojrry Hoey Logon Se Gurezaan Na Raha Kar
Halat Ki Qabroon K Katby Bhi Parrha Kar
Keya Janiye Keun Taiz Hawa Soch Me Gum He
Khabeeda Parindoon Ko Darakhton Se Orra Kar
Os Shakhs Se Tum Se Bhi Marasim Hein To Hongy
Wo Jhoot Na Boly Ga Mere Samny Aa Kar
Ab Dastakein De Ga Too Kahan Ae Gham E Ahbab
Mein Ne To Kaha Tha K Mere Dil Me Raha Kar
Har Waqt Ka Hansna Tujhy Barbad Na Kar Dy
Tanhai K Lamhoon Me Kabhi Roo Bhi Liya Kar
Wo Aj Bhi Sadyon Ki Musafit Pe Kharra He MohSin
Dhonda Tha Jisy Waqt Ki Deewar Gira Kar

Chehry Parrta Ankhein Likhta Rehta Hoon

Chehry Parrta Ankhein Likhta Rehta Hoon
Mein Bhi Kaisi Batein Likhta Rehta Hoon
Sary Jism Darakhton Jaisy Lagty Hein
Or Banhoo Ko Shakhein Likhta Rehta Hoon
Tujh Ko Khat Likhny K Tevar Bhool Gaey
Aarhi Tirchhi Satrein Likhta Rehta Hoon
Tere Hijar Me Or Mujhy Kiya Karna He
Tere Naam Kitabein Likhta Rehta Hoon
Teri Zulf K Saey Dheyan Me Rehty Hein
Mein Subhoon Ko Shamein Likhta Rehta Hoon
Apny Peyar Ki Phool Mehakti Rahoon Me
Logon Ki Deewarin Likhta Rehta Hoon
Tujh Se Mil Kar Sary Dukh Dohraon Ga
Hijar Ki Sari Batein Likhta Rehta Hoon
Sokhy Phol Kitabein Zakhum Judai K
Teri Sab Soghatin Likhta Rehta Hoon
Os Ki Bheegi Palkein Hansti Rehti Hein
Mohsin Jab Tak Ghazlein Likhta Rehta Hoon

Thursday, 23 June 2011

“Kiyun Rakhoon Main Apne Qalam Main Siyahi!”

“Kiyun Rakhoon Main Apne Qalam Main Siyahi!”
“Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi!”

“Na_Jane Kiyun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par!”
“Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi!”

“Kashish To Buhat Thi Meri Piyaar Main!”
“Magar Kiya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi

Agar KHUDA Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Gi
“Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Nahi.

KUCH NHE. . .

dRd-O-gHaM k sIwA iShQ mAiN kIa mIlA

kUcH nHe,

jO tHa kHo bEtHy hAsIl hUa

kUcH nHe,

mAinY lIkH k bHeJa tHa kIa lAgTa hN tErA??

uSNy lIkH k bHeJdIa kUcH nHe,

mAiNy kAhA rUk jA mAr jAngA tErE bIn,

wO AisE cHaL pArI jEsE sUnA kUcH nHe,

aAj eK bUzUrG kI aNkHeN bHaR aYe mErE hAtAlI dKh kR!!!

pHr uSnY kAhA tErI lAkeRon mAi hAi lIkHa

kUcH nHe. . .

vo log bahut Khush_qismat thy

vo log bahut Khush_qismat thy
jo ishq ko kaam samajhate thy
yaa kaam se aashiqii karate thy
ham jiite jii masaruuf rahe
kuchh ishq kiyaa kuchh kaam kiyaa
kaam ishq ke my aataa rahaa
aur ishq se kaam ulajhataa rahaa
phir aaKhir tang aakar my ny
dono ko adhuuraa chhor diyaa

SHAAM SY PHLY!

Shaam say pehlay mera anna zarrori tu nahi hai
Her shaam sung teary bitana zarrori tu nahi hai
Cahat agher dil main othi ho tu phir bhi
Her baar yeh cahat jeytana zarrori tu nahi hai
Maana tum ho aik jaltay ho deepak
Per hathooo ko her shaam jalana zarrori tu nahi hai
Bicaher bhi jayeee agher apnoo say koi tu
Per her baar oss ko manana zarrori tu nahi hai
Khushboo agher yar ki mehki ho 4roo sooo tu
Phir phooloo saya aghan ko mehkana zarrori tu nahi
Kamil koi piyar main hota nahi hai RAJA
yeh affwa ser-e- aam pehlana zarrori tu nahi hai

Aaj Yaad Bohot Tum Aae Ho

Aaj halki halki barish hai,
Aaj sard hawa ka rakss bhi hai,
Aaj phool bhi nikhrey nikhrey hain,
Aaj un mai tumhara aks bhi hai,
Aaj badal kaaley gehrey hain,
Aaj chand pe lakhon pehrey hain,
Kuch tukrey tumhari yaadon ke,
Bari dair se dil mai tehrey hain,
Aaj yaaden uljhi uljhi hain,
Aaj taar yeh dil ke suljhey hain,
Aaj yaad bohot tum aye ho,
Aaj yaad bohot tum aye ho.

Kissi Din!

Chehrey par merey zulf ko bikhrao kissi din
Kya roz garajtey ho, baras jao kissi din
Razoon ki tarah utroo merey dil mein kissi shab
Dastak pe merey hath ki khul jao kissi din
Peroon ki tarah husn ki barish mein naha loon
Badal ki tarah jhoom ke ghar aoo kissi din
Khushbu ki tarah guzro merey dil ki gali se
Pholoon ki tarah mujh pe bikhar jaoo kissi din
Guzrien merey ghar se to ruk jayien sitarey
Is tarah meri raat ko mehkaoo kissi din!

Mukamal Tera Naam!

Nazam uljhee hui hai seeney mein
Shaer Atkey hue hain hontoon mein
Lafz kaghaz pe bethetey hi nahi
Urtey phirtey hein titliyoon ki tarah
Kab se betha hua hoon mein janam
Sada kaghaz mein likh ke naam tera
Bus tera naam hi mukammal hai
Iss se behtar bhi Nazam kya ho gi?

APney Hathoon Se!

Apney Hathoon se yun Chehrey ko chupatey kyon ho?
Mujh se sharmatey ho to samney atey kyon ho?
Tum bhi meri tarah kar bhi lo iqraar -e- wafa
Pyar kartey ho to phir chhupatey kyon ho?
Ashq ankhoon mein meri dekh kar rotey kyon ho?
Dil bhar ata hai to phir dil dukhatey kyon ho?
In se wabista hai jub mera muqaddar phir tum
Merey shanoon se yeh zulf uthatey kyon ho?
Roz  Mar Mar ke mujhey jeeney ko kehtey kyon ho?
Milney atey ho to phir Laut jatey kyon ho?

suno tum lout aao naa

suno tum lout aao naa
k soraj dhal gaya hay
Or haseen ik sham utri hay
wo daikho chand nikla hay
 sitare jagmagaey hain
hamari muntazir aankhain
dwaaein mangti aankhain
tumhee he dhondhti ankhain
tumain wapis bulaati hain
tumhara aks phir shayad
meri palkoon main utra hay
koi ansu agar aaye
baha k ab na ley jaaey
yeh dill jab bhi dharkta hay
tumahara naam leta hay
yeh ansu jab bhi behtay hain
tumari yaad main behtay hain
k barish jab bhi hoti hay
tumain he yaad karti hay
suno tum lout aao naa.....

Mujhe Tum Se Mohabbat Hai !!!

Tumhe Zid hai ke mai keh doon,
mujhe zid hai ke tum keh do,
" Mujhe Tum Se Mohabbat Hai"
Kaho, mujh se mohabbat hai.......
Nahi yeh jaante dono,
Mohabbat kab mohtaaj hai,
lafzon ki,
baaton ki,
Mohabbat to hamari dharkanon ke saaz mai shamil,
sureeley geet ki manind,
Mohabbat yaad ki dewi,
Jo tanha raat ko aksar,
Aati hai aankhon mai,
Mohabbat soch ki gehraiyon se phoot'ti khushboo,
hamesha saath rehti hai,
magar phir bhi, naa jane kiyu,
Tumhe Zid hai ke mai keh doon,
mujhe zid hai ke tum keh do,
" Mujhe Tum Se Mohabbat Hai"
Kaho, mujh se mohabbat hai.......

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uuNgii

kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uuNgii
main apane haath se us kii dulhan sajaa_uuNgii
supurd kar ke use chaaNdanii ke haathon
main apane ghar ke aNdheron ko lauT aa_uuNgii
badan ke karb ko vo bhii samajh na paayegaa
main dil men rouuNgii aaNkhon men muskuraa_uuNgii
vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
main kis se ruuTh sakuuNgii kise manaa_uuNgii
vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin
main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukaa_uuNgii
bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud
vo so ke uThe to Khvaabon kii raakh uThaa_uuNgii
ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
main kis kii nazm akele men gun_gunaa_uuNgii
javaz DhuuNDh rahaa thaa na_ii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jaa_uuNgii

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai
Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye
To wo hamla nahin kerta,
Suna hai jab kisi nadi k paani main
Bue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai
To nadi ki ro pehli machhilyaan us ko
Parosi maan leti hain,
Hava k taiz jhonke jab darakhton ko hilaate hain
To Meena apne ghar ko bhool ker
Ka’uve k andon ko paron main thaam leti hai
Suna hai Ghonsle se jab koi bacha gire to
Saara jangle jaag jaata hai.
Naddi main baar aa jaaye
Koi Pull toot jaaye
To kisi lakri k takhte per
Gulahri, Saanp, Cheeta aur Bakri
Saath hote hain.
Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai,
Khuda-wanda Jaleel-o Mu’atbar, Daana-o Beena Munsif-o Akber,
HUMARE SHAHAR MAIN AB,
JANGLON KA HI KOI DASTOOR NAAFIZ KER..!!

isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai

isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai
chali chalun ki jahan tak ye sath rahta hai
zamin-e-dil yun hi shadab to nahin ai dost
qarib main koi dariya zarur bahta hai
na jane kaun sa fiqra kahan raqm ho jaye
dilon ka hal bhi ab kaun kis se kahta hai
mere badan ko nami kha gai ashkon ki
bhari bahar main jaise makan dahta hai

Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye

Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere wajuud ke andar utar na jaaye
Khud phuul ne bhii honth kiye apane niim-vaa
chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye
is Khauf se vo saath nibhaane ke haq mein hai
khokar mujhe ye ladakii kahiin dukh se mar na jaaye
palkon ko us kii apane dupatte se ponch duun
kal ke safar mein aaj kii gard-e-safar na jaaye
main kis ke haath bhejuun use aaj kii duaa
qaasid havaa sitaaraa koii us ke ghar na jaaye

wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega

wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
masla phul ka hai phul kidhar jayega
ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega
wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
ek jhonka hai jo ayega guzar jayega
wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
mausam-e-gul mere angan main thahar jayega
akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

Tujh se koi gilla nahin hai

Tujh se koi gilla nahin hai
Qismat main meri silla nahin nahi
Bichar ke to na-janey kia haal ho
Jo shakhs abhi milla nahi hai
Jeeney ki to aarzu hi kab thi
Marney ka bhi hosla nahin hai
Jo zeest ko mu-tabir bana dey
Aesa koi silsila nahin hai
Khushboo ka hisaab ho chuka
Aur phool abhi khilla nahi hai
Sershaari-e-rehbari main dekha
Peechy mera qafilla nahin hai
Ek thais pe dil ka phoot behna
Chooney mein to aabla nahi hai

ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki

ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki
kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne
bat to sach hai magar bat hai ruswai ki
wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya
bas yahi bat hai achi mere harjai ki
tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki
us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
ruh tak a gai tasir masihai ki

teri khushbu ka pata karti hai

teri khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsan hawa karti hai
shab ki tanhai main ab to aksar
guftagu tujh se raha karti hai
dil ko us rah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne main raha karti hai
us ne dekha hi nahin warna ye ankh
dil ka ehwal kaha karti hai
beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par nam likha karti hai

chehra mera tha nigahen us ki

chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki
mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki
shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki
aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki
dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki
faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki
nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki
dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki

harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai

harf e taaza naii khushboo mein likha chahta hai
baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai

aik lamhay ki tawajoo nahi hasil uss ki
aur yeh dil keh ussay hud say siwa chahta hai

ik hijaab teh e iqrar hai ma'nay manay warna
gul ko maloom hai kaya dast e saba chahta hai
rait he rait hai iss dil mein musafir mairay
aur yeah sehra taira naqash e qaf e pa chahta hai

yehe khamooshi kai rung mein zahir ho gi
aur kuch roz keh woh shokh khula chahta hai

raat ko maan liya dil nay muqadar laykin
raat kay haath pay aab koi diya chahta hai

tairay paymanay mein gardish nahi baqi saqi
aur tairi bezam say aab koi utha chahta hai

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
tere shanon pe koi chat nahin thi

mere zimme koi angan nahin tha
koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya

kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama
hawa-e-dasht ki manind
tu azad tha
raste teri marzi k tabe the
mujhe bhi apni tanhai pe
dekha jaye to
pura tasarruf tha

magar jab aj tu ne
rasta badla
to kuch aisa laga mujh ko
k jaise tu ne mujh se bewafai ki



Wednesday, 22 June 2011

مجھے اور کہیں لے چل وصیء



مجھے اور کہیں لے چل وصیء

جہاں رات کبھی سوئی نہ ہو
جہاں صبح کسی پہ روئی نہ ہو
جہاں ہجر نے وحشت بوئی نہ ہو
...جہاں کوئی چیز کسی کی کھوئی نہ ہو

جہاں لوگ ہوں سارے بیگانے
جہاں سب کے سب ہوں دیوانے
جہاں کوئی جھوٹ ہو، نہ افسانے
جہاں کوئی ہم کو نہ پہچانے

مجھے اور کہیں لے چل وصیء

جہاں نفرت دل میں بس نہ سکے
جہاں کوئی کسی کو ڈس نہ سکے
جہاں کوئی کسی پہ ہنس نہ سکے

مجھے اور کہیں لے چل وصی

Mansoob The Jo Log Meri Zndagi K Sath


Mansoob The Jo Log Meri Zndagi K Sath
Aksr Wohi Mile He Badi Be Rukhi K Sath

Yun To Me hans Pada Hu Tumhare Leye Mgr
Kitne Sitare Tut Pde Ek Hansi K Sath

Majborion Ki Bat Chali He To Me Kahan
Hm Ne Peya He Zehar B Aksr Khushi K Sath

MOHSIN Kram B Ho Aur Jis Me Khulus B
Mujh Ko Gazab Ka Pyar He Es Dusmani K Sath......

Badban khulne se pahle ka ishara dekhna

badban khulne se pahle ka ishara dekhna
main samandar dekhti hun tum kinara dekhna
yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar
jate jate us ka wo mur k dubara dekhna
kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand
ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna
aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye
jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna

Apni ruswai tere nam ka charcha dekhun

apni ruswai tere nam ka charcha dekhun
ek zara sher kahun aur main kya kya dekhun
nind a jaye to kya mahfilen barpa dekhun
ankh khul jaye to tanhai ka sahra dekhun
sham bhi ho gai dhundhala gai ankhen bhi meri
bhulnewale main kab tak tera rasta dekhun
sab ziden us ki main puri karun har bat sunun
ek bache ki tarah se use hansta dekhun
mujh pe cha jaye wo barsat ki khushbu ki tarah
ang ang apna usi rut main mahakta dekhun
tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji main ata hai koi aur bhi tujh sa dekhun
main ne jis lamhe ko puja hai use bas ek bar
khwab ban kar teri ankhon main utarta dekhun
tu mera kuch nahin lagta hai magar jan-e-hayat
jane kyon tere liye dil ko dharakta dekhun

Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi

Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi
tumhin the badle hue ya meri nigahen thin
tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye
tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai
tumhare ohad ki denen tumhen mubarak
so tum ne mera swagat usi tarah se kiya
jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai
takallufan mere nazdik a k baith gaye
phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya
kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli
adab par bhi koi do char tabsare faramaye
magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha
kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat
pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai
ujar rat ki tanhai kya qayamat hai
shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai
gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr
rawayatan hi sahi koi bat to karte

aaj baazaar meN paa-bajaulaaN chalo

aaj baazaar meN paa-bajaulaaN chalo

chashm-e-nam, jaan-e-shoriidaa kaafii nahiiN
tohmat-e-ishq-poshiidaa kaafii nahiiN
aaj baazaar meN paa-bajaulaaN chalo

dast-afshaaN chalo, mast-o-raqsaaN chalo
Khaak-bar-sar chalo, Khuun-baa-damaaN chalo
raah taktaa hai sab shah’r-e-janaaN chalo
aaj baazaar meN paa-bajaulaaN chalo

haakim-e-shah’r bhii, majmaa-e-aam bhii
tiir-e-ilzaam bhii, sang-e-dushnaam bhii
subh-e-nashaad bhii, roz-e-nakaam bhii
aaj baazaar meN paa-bajaulaaN chalo

in kaa damsaaz apne sivaa kaun hai
shah’r-e-jaanaN meN ab baa-safaa kaun hai
dast-e-qaatil ke shaayaaN rahaa kaun hai

rakht-e-dil baandh lo, dil figaaro chalo
phir hamiiN qatl ho aayeN yaaro chalo.
aaj baazaar meN paa-bajaulaaN chalo

dono jahaaN terii muhabbat meN haar ke

dono jahaan terii muhabbat meN haar ke
vo jaa rahaa hai koii shab-e-Gham guzaar ke

viiraaN hai maikadaa Khum-o-saaGhar udaas hai
tum kyaa gaye ke ruuTh gaye din bahaar ke


ek fursat-e-gunaah milii, vo bhii chaar din
dekhe haiN ham ne hausle parvar-digaar ke

duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
tujh se bhii dil-fareb haiN Gham rozgaar ke


bhuule se muskuraa jo diye the vo aaj ‘Faiz’
mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke

ham saadaa hii aise the, kii yuuN hii paziiraa’ii

ham saadaa hii aise the, kii yuuN hii paziiraa’ii
jis baar KhizaaN aa’ii samajhe ki bahaar aa’ii
aashob-e-nazar se kii hamne chaman-aaraa’ii
jo shai bhii nazar aa’ii gul-rang nazar aa’ii
ummiid-e-inaayat meN raNjiidaa rahe donoN
tuu aur terii mehfil, maiN aur merii tanahaa’ii
yak-jaan na ho sakiye anjaan na ban sakiye
yuuN TuuT ga’ii dil meN shamshiir-e-shanaasaa’ii

is tan kii taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai
kyaa rakkhaa hai maqtal meN ai chashm-e-tamaashaa’ii

paaNv se lahuu ko dho Daalo

ham kyaa karte kis raah chalte
har raah meN kaaNTe bikhre the
un rishtoN ke jo chhuuT gaye
un sadiiyoN ke yaaraanoN ke
jo ik-ik kar ke TuuT gaye
jis raah chale jis simt gaye
yuuN paaNv lahuu-luhaan hu’e
sab dekhne vaale kahte the
ye kaisii riit rachaa’ii hai
ye mehNdii kyuuN lagvaa’ii hai
vo kahte the, kyuuN qaht-e-vafaa
kaa naahak charchaa karte ho
paaNv se lahuu ko dho Daalo
ye raateN jab kaT jaayeNgii
sau raste in se phuuTeNge
tum dil ko sambhaalo jismeN abhi
sau tarah ke nashtar TuuTeNge

subh kii aaj jo rangat hai vo pahle to na thii

subh kii aaj jo rangat hai vo pahle to na thii
kyaa Khabar aaj KhiraamaaN sar-e-gulzaar hai kaun
shaam gulzaar hu’ii jaatii hai dekho to sahii
ye jo niklaa hai liye mash’al-e-ruKhsaar, hai kaun

raat mahkii hu’ii aayii hai kahiiN se puucho
aaj bikraaye hu’e zulf-e-tarahdaar hai kaun
phir dar-e-dil pe dene lagaa hai ko’ii dastak
jaane phir dil-e-vahshii kaa talabgaar hai kaun

raat Dhalne lagii hai siinoN meN

raat Dhalne lagii hai siinoN meN
aag sulgaao aab-giinoN meN
dil-e-ushshaaq kii Khabar lenaa
phuul khilte haiN in mahiinoN men

aaj tanhaa’ii kisii hamdam-e-dairiiN kii tarah

aaj tanhaa’ii kisii hamdam-e-dairiiN kii tarah
karne aayii hai merii saaqii-garii shaam Dhale
muntazir baiThe haiN ham donoN ke maahtaab ubhre
aur teraa aks jhalakne lage har saaye tale

bol ke lab aazaad haiN tere

bol ke lab aazaad haiN tere
bol zabaaN ab tak terii hai
teraa sutvaaN jism hai teraa
bol ke jaaN ab tak terii hai
dekh ke aahaNgar kii dukaaN meN
tuNd haiN shole surKh hai aahan
khulne lage qufloN ke dahaane
phailaa har ek zanjiir kaa daaman
bol ye thoRaa vaqt bahut hai
jism-o-zubaaN kii maut se pahle
bol ke sach ziNdaa hai ab tak
bol jo kuch kehnaa hai keh le

jamegii kaise bisaat-e-yaaraaN ke shiisha-o-jaam bujh gaye haiN

jamegii kaise bisaat-e-yaaraaN ke shiisha-o-jaam bujh gaye haiN
sajegii kaise shab-e-nigaaraaN ke dil sar-e-shaam bujh gaye haiN

vo tiirgii hai rah-e-butaaN meN chiraaGh-e-ruKh hai na shamma-e-vaadaa
kiran ko’ii aarzuu kii laao ke sab dar-o-baam bujh gaye haiN
bahut sambhaalaa vafaa kaa paimaaN magar vo barsii hai ab ke barkhaa
har aik iqraar miT gayaa hai tamaam paiGhaam bujh gaye haiN
qariib aaye mai-e-shab-e-Gham, nazar pe khultaa nahiiN kuch is dam
ke dil pe kis kis kaa naqsh baaqii hai, kaun se naam bujh gaye haiN
bahaar ab aa ke kyaa karegii ke jin se thaa jashn-e-rang-o-naGhmaa
vo gul sar-e-shaaKh jal gaye haiN, vo dil tah-e-daam bujh gaye haiN

Woh jiski deed mein laakhoN masarrateiN pinhaaNi

Woh jiski deed mein laakhoN masarrateiN pinhaaN
Woh husn jiski tamanna mein jannateiN pinhaaN
Hazaar fitney tah-e-paa-e-naaz Khaak-e-nasheeN
Har ek nigaah Khumar-e-shabaab se rangeeN
Shabaab jis se taKhaiyyul pe bijliyaaN barseiN
Waqaar jiski rafaaqat ko shoKhiyaaN tarseiN
Ada-e-laghzish-e-paa par qeyamateiN qurbaaN
Bayaaz-e-ruKh pey sahar ki shabahateiN qurbaaN
Siyaah zulfouN meiN bazaabta nikhatoN ka hujoom
Taweel raatoN ki Khwabeeda raahatoN ka hujoom
Woh aankh jis k banaao pe Khaaliq itraayey
Zabaan-e-shair ko ta’reef kartey sharmyey
Gudaaz jism qaba jis pe saj k naaz karey
Daraaz qad jisey sarw-e-sahi namaaz kahey
Kisi zamaney meiN is rah-guzar se guzraa tha
Ba-sad Ghuroor-o-tajammul idhar se guzraa tha
Aur ab ye raah guzar bhi hai dilfareb-o-haseeN
Hai uski Khaak meiN kaif-e-sharab-e-sair makeeN
Hawa meiN Shokhi-e-raftaar ki adaaeiN haiN
Faza meiN narmi-e-guftaar ki sadaeN haiN
Gharaz vo husn is raah ka juzv-e-manzar hai
Niyaz-e-ishq ko ek sajda gaah mayassar hai

nisar me teri galiyon py ay watan k jahan

nisar me teri galiyon py ay watan k jahan
chali hai rasm k koi na ser utha k chaly
jo koi chahny wala tawaf ko jaye
nazr jhuka k chalyjism-o-jan bacha k chaly
hai ahle-dil k liye ye nazam-e-basto–kushad
k sango khisht mukayiadhein or sug azad

na diid hai na suKhan, ab na harf hai na payaam

na diid hai na suKhan, ab na harf hai na payaam
ko’ii bhii hiila-e-taskiiN nahiiN aur aas bahut hai
ummiid-e-yaar, nazar kaa mizaaj, dard kaa rang
tum aaj kuch bhii na puucho ke dil udaas bahut hai

Dekh lo magar khawab ka charcha na kro,


 Dekh lo magar khawab ka charcha na kro,
Log jal jayen gy suraj ki tamana na kro.
Waqt ka kya ha ksi pal b badal sakta
ha,
Ho sky tm sy to tm mujh par bhrosa na kro.
Ajnabi lagny lagy khud tmhen apna hi wajood,
Apny din raat ko itna b akela na
kro.
Khwab bachon k khilono ki trha hoty hain,
Khwab dekha na kro khwab dikhya na kro.
Mom k rishty hain garmi sy pigal jayen gy,
Dhoop k shehar main mohsin yeh tamasha na kro

Kaise Dour-E-Jahelait Mai Jee Rahay Hai Ham ”M o h s i n"

Kaise Dour-E-Jahelait
Mai Jee Rahay Hai Ham
”M o h s i n”
Yahaan Adam Ka
Baita Lutaf Andoz
Hota Hai??
Hawa Ke Baite Ka
Raqs Daikh Kar..!!
‘INNAMINATE"

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya

Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya

Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya

Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya

Yaad-E-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye

Yaad-E-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye
:
Is Se Behtar Hai K’ Har Baat Bhul Di Jaye
:
Jis Se Thorri C’ Umeed Zyada Ho Kabhi
:
Aise Har Shama Sare-E-Sham
Jala Di Jaye
:
Mai Ne Apno K’ Rowayon Se Ye Mehsoos Kiya
:
Dil K’ Angan Mai Bhi Dewaar :Utha Di Jaye
:
Mai Ne Yaroon K’ Bicharne Se
Ye Seekha ”M o H s I n”
:
Apne Dushman Ko Bhi Jeene Ke Dua Di Jaye

Raqs Karte Howay Lamhon Se Buhat Khailta Tha..

Raqs Karte Howay Lamhon Se Buhat Khailta Tha..

Be-Khudi Mai’ Mai Zamano Se Buhat Khailta Tha..
Bachane Wale Ye Batate Hai Sailaab Se Qabil..
Ye Jo Darya Hai Kinaron Se Buhat Khailta Tha..
Mai Khelono Se Kabhi Bhi Nahe Khaila A Dost..
Khwab Hote Thy Mai Khwabon Se Buhat Khailta Tha..
Ab Tu Be-Rang Udassi Hai Maire Ankhon Mai..
‘MAA’ Batati Hai Mai Rango Se Buhat Khailta Tha

Wo aksar muj sy kehti thi

Wo aksar muj sy kehti thi
"WAFA" hai zaat Aourat ki
magar jo mard hoaty hn,
bht bedard hotay hn
kissi bhanwray ki manind,
Gull ki khusbu Loot jaty hn,

Suno.............................

Tum ko kasam meri,
Riwayat Torr dena tum
na tanha chorr k jana,
na ye Dil Torr k jana

Magr,

Phirr Yun Hua Hamdam,
Mujy Anjaan Rasty Per,
Akela Chorr Kar Uss ny,
Mera Dil Torr Kar Uss ny,
Muhbt Chorr Di Uss ny,

"WAFA" hai Zaat Aourat ki,
Riwayat Torr Di Uss ny...........

Dastoor yahan bhi andhy hain farman yahan bhi andhy hain


Dastoor yahan bhi andhy hain farman yahan bhi andhy hain
aye dost khuda ka nam na lye Eman yahan bhi… andhy hain
Taqdeer kye kaly kumbale main azmaat kye fasany lipty hain
mazmoon yahan bhi behry hain unwan yahan bhi andhy hain
Be rang shafak sye dhalty hay be noor sawyery hoty hain

ghar me soraj k utrny ka buht ranj hua

ghar me soraj k utrny ka buht ranj hua
aaj mjy raat k guzrny ka buht ranj hua
jis ne kar dala meri zaat ko reza reza
muj ko us k be bikhrny ka buht ranj hua
yun to iss shehr me jhoot koi aaib nahi
jany q tery mukrny ka buht ranj hua
ab tujy dekhny ,milny ke tamana hi nahi
neiyat-e-shok k bharny ka buht ranj hua
kooch kar jaen gay MOHSIN to kahy g dunia
ham ko ik shaks k marny ka buht ranj hua

abhi kya kahen abhi kya sunayen

abhi kya kahen abhi kya sunayen
ke sar-e-fasil-e-sukut-e-jan
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa
wo jo harf jarf charag tha
use kis hawa ne bujha diya
kabhi lab hilenge to puchna
sar-e-sahar-e-ahad-e-wisal-e-dil
wo jo nikahaton ka hujum tha
use dast-e-mauj-e-firaq ne
tah-e-khak kab se mila diya
kabhi gul khilenge to puchna
abhi kya kahen abhi kya sunayen
yun hi khwahishon k fishar main
kabhi be-sabab kabhi bekhalal
kahan kaun kis se bichar gaya
kise kis ne kaise ganwa diya
kabhi phir milenge to puchna

mar hi dal mujhe chasm-e-ada se pahle

mar hi dal mujhe chasm-e-ada se pahle
apni manzil ko pahunch jaun qaza se pahle
ik nazar dekh lun a jao qaza se pahle
tum se milne ki tamanna hai Khuda se pahle
hashr k roz main puchunga Khuda se pahle
tu ne roka nahin kyun mujhko khata se pahle
ai meri maut thahar unko zara ane de
zahar ka jam na de mujhko dawa se pahle
hath pahunche bhi na the zulf dota tak “Momin”
hathkari dal di zalim ne khata se pahle

Mujrim B’ Tha Mohsin B’ Maira Lagta Tha..


Mujrim B’ Tha Mohsin B’ Maira Lagta Tha..
Dast-E-Qatil B’ Mujhe Dast-E-Hina Lagta Tha..
Daikhne Wale Tu Usay Daikhte Reh Jate Thy..
Haan Wo Shakhs MOHABAT Ka Khuda Lagta Tha..
Kaanton Bhari Shaakh Nazar Ata Tha Kabhi..
Phool Lagta Tha Kabhi Baad-E-Sab Lagta Tha..
Ab Loogon Say Phochta Pharta Hai Maire Ghar Ka Pata..
Mai Jisay Sare Zamane Say Bura Lagta Tha..
Us Ke Baatain Thi Rawayat Say Hatt Kar ”MÔH$ÎÑ”
Sab Mai Rehta Tha Magar Sab Say Juda Lagta Tha

Apne Usool Yon B’ Kabhi Thorne Pharray..


 Apne Usool Yon B’ Kabhi Thorne Pharray..
Us Ke Khata Thi Haat Mujhe Jhorne Pharray…
Aya Na Jab Qarar-E-Dil-E-Bey Qarar Ko…
Yadoon K’ Rukh Tumhare Taraf Morrne Pharry…
Us Ko Tu Maire Yaad Bhi Aya Na Ek Din..
Ham Apne Paraye Jis K’ Chorrne Pharray…
MOHSIN Wo Shakhs Khud Bhara Bey Usool Tha…
Ham Apne Usool Jis K’ Liye Thorrne Pharrey

Bay Sabab Youn Hi Sar-e-Shaam Nikal Aatay Hain

Bay Sabab Youn Hi Sar-e-Shaam Nikal Aatay Hain
Hum Bulatay Hain To Unhain Kaam Nikal Aatay Hain….
Rotay Rotay Jo Hansa Hoon To Ta’ajub Kya Hai
Sakhtiyon Main Bhi To Aaram Nikal Aatay Hain…
Ek Majnu Hi Naheen Dasht Main Tanha Thehra
Ronay Walon Main Kai Naam Nikal Aatay Hain…
Barha Pohnchay Hain Darbaar Main Auron Ki Tarha
Daam Lagtay Hain To Be Daam Nikal Aatay Hain…
Nayee Tehzeeb Kay Rozan Se Ye Dekha Manzar
Such K Izhaar Se Ibhaam Nikal Aatay Hain

usne jab jab bhi mujhy dilse pukara mohsin

usne jab jab bhi mujhy dilse pukara mohsin
mene tab tak bataya tumhara mohin
log sadion ki khataon par bhi khush basty hen
humko lamhon ki wafaon ne ujara mohsin
ho gia jab y yaqeen ab wo nahy ay ga
anso or gham ne dia dilko sahara mohsin
wo tha jab pass to jeeny ko bhi dil karta tha
ab to pal bhar bhi nahi hota guzara mihsin
isko pana to muqadar ki lakeron men nahi
iska khona bhi karen kese gawaa mohsin

Hwa thami ti zror lekin

Hwa thami ti zror lekin
wo sham jausy sisak rahe ti
k zard patton ki andhyon ne ajeeb qissa suna diya tha
k jis ko sun kr tamam patty sisak rahe thy bilak rahe thy
jany kis sa’nahy k ghum mainshajr jharon se ukhr chuky thy
buhat talasha tha hum ne tum ko
har ik rasta
har ik wadi
har ik parbt
hai ik ghati
khien se teri khabr na aai
tu ye keh k hum ne dil ko tala
hawa thamy gi tu dekh len gey
hum us k raston ko dhond len gey
magar ye khush khyali jo hum ko brbad kr gaye thi
hawa thami thi zror lekin bri he muddat guzar chuki ti
hamary balon k junglon main safaid chandi utar chuki ti
falk pe tary ni rahe thy
gulab pyare ni rahe thy
wo jin se basti thi dil ki basti wo log sarey ni rahe thy
ye almaya sb se balatar tha k hum tumhare ni rahe thy tum hamary ni rahe thy
hawa thami ti zror lekin bri he mudat guzar chuki ti

waqat rukta nhi ksi k liy

waqat rukta nhi ksi k liy
na muhabat na dosti k liy
dil ko apny saza de younhi
is zamany ki berukhi k liy
har koi piyar dondta hai yah
apni tanha c zindagi kay liy
kal jawani ka hashar kya ho ga
soch lay aag do gari kay liy
waqat rukta nahi kisi kay liy
na muhabat na dosti kay liy

Kisi k ghum main wafa khona koi suny ga tu kiya kahy ga,

,Kisi k ghum main wafa khona koi suny ga tu kiya kahy ga,
Yeh uth k raton ko tera rona koi suny ga tu kiya kahy ga,
Yeh zaamana charty shabab ka hy magar zamana both bora hy,
Yeh jagna shab ko din ko suna koi suny ga tu kiya kahy ga,
Dil main aya tu khub khela nazar se utra tu tor dala,
Kisi ka dil b hy kiya khilona koi suny ga tu kiya kahy ga,
Beach bhawar main tm muj ko chor dety ap per baat b na ati,
Yeh tera sahil pe la dabona koi suny ga to kiya kahy ga,
Kaha jo mainy daro khuda se kiya khudai ka dar nai hy,
woh hans k boly chup raho na koi suny ga tu kiya kahy ga

us py khul jati mery shouq ki shiddat sari;

us py khul jati mery shouq ki shiddat sari;
daikhy hoty jo mery paon k chhaly usny.
jis ka her aib zamany sy chhupaya meny ,
mery qissay sar.e.bazar uchhaly usny.
jab usy meri muhabbat py bharosa hi na tha,
kyun diye meri wafaon k hawaly usny.
meri dum torti khahish ka khayal aa na saka,
apny arman hamesha hi nikaly usny.
aik mera hi to hath na thama usny,
werna girty huye kitny hi sambhaly usny

Itni muddat baad milay ho!

Itni muddat baad milay ho!
Kin sochon mien gum phirtay ho?
Itnay khaif kion rahtay ho?
Her aahat say darr jatay ho
Taiz hawaa nay mujh say poocha
Rait per kia likhtay rahtay ho?
Kaash koi hum say bhi poochay
Raat gaye tak kion jagay ho?
Mien darya say bhi darta hon
Tum darya say bhi gahray ho
Kaun si baat hai tum mien aisi
Itnay achay kion lagtay ho?
Peechay murr kar kion dekha tha
Patthar ban kar kia taktay ho
Jao jeet ka jashan manao
Mien jhoota hon tum sachay ho
Apnay shahar kay saray logon say
Meri khatir kion uljhay ho
Kahnay ko rahtay ho dil mien
Phir bhi kitnay duur kharay ho
Raat humien kuch yaad nahi tha
Raat buhut hee yaad aye ho
Hum say na poocho hijar kay qissay
Apni kaho abb tum kaisay ho
Faraz tum badnaam buhut ho

Maine usko salam likh bheja hai

Maine usko salam likh bheja hai
Haale dil tamam likh bheja hai
Maine pucha tere hont kaise hain
Usne ik lafz jaam likh bheja hai
Maine pucha tere baal kaise hain
Usne Qudrat ka inaam likh bheja hai
Maine pucha kab hogi mulaqaat
Usne qayamat ki shaam likh bheja hai
Maine pucha intna tadapti kyun hai
Us ne jawani ka inteqam likh bheja hai
Maine pucha tere khadu khal kaise hain
Usne husne tamam likh bheja hai
Maine pucha tujhe nafrat kis cheez hai
Usne Kambakhat Mera hi naam likh bheja hai

zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii

zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii
merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii
mujh ko bhii shauq thaa naye cheharo.n kii diid kaa
rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii
us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
masruuf mai.n bhii kam thaa faraaGat use bhii thii
sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaa.N
taazaa rafaaqato.n kii zaruurat use bhii thii
mujh se bichha.D ke shahar me.n ghul mil gayaa vo shaKhs
haalaa.Nke shahar bhar se raqabat use bhii thii
vo mujh se ba.Dh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
varnaa har ek saa.Ns qayaamat use bhii thii

Kaash hum khul k zindagi kartay

Kaash hum khul k zindagi kartay
Umar guzri hai khud kushi kartay
bijlian iss taraf nahi aaiin
warna ham ghar main roshni kartay
kaun dushman teri tarah ka tha
aur ham kis say dosti kartay
ishq ijrat talab na tha warna
hum teray dar pay nokri kartay
iss tamanna main ho gaye roswa
hum b jee bhar k aashqi kartay
hussn aus ka na khul saka muhsin
thak gaye log shayeri kartay

Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan

Mein Nay Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan ……..!
Jaisy Mahtab Ko Bayant Samandar Chahy…….!
Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Mein Utray……!
Jaisy Khushbo Ko Hawa Rang Say Hat Kar Chahy…….!
Jaisy Pathar K Kalejay Say Kiran Phootti Hai………
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Say Hina Mangty Hein…
Jaisy Khabon Me Kheyalon Ki Kaman Tootti Hai…..
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein…..
Mera Her Khab Mere Sach Ki Gawahi De Ga……..
Wusat E Deed Ne Tujh Se Teri Khahish Ki Hai……..
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna……….!!!
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki Hai………!!!
Khahish E Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa
Noch Dali Hein Zamano Ki Naqabein Mein Nay……..
Teri Palkon Pe Otarti Hue Subhon K Liye….
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Nay….
Mein Ne Chaha K Tere Husan Ki Gulnar Fiza….
Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehakti Jaey….
Mein Ne Chaha K Meray Fun K Gulistan Ki Bahar….
Teri Ankhon K Gulabon Se Mehakti Jaey….
Teh Toh Ye Tha K Sajata Rahy Lafzon K Kanwal!!
Mere Khamosh Kheyalon Mein Takalum Tera……..
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar…..
Meri Khahish K Jazeeron Mein Tabasum Tera…..
Toh Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran
Meri Bujhti Hue Raton Ko Sehar Kar Na Saki….
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Toh Bhi
Chara E Zakham E Gham E Deeda E Tar Kar Na Saki….
Tujh Ko Ehsas He Kab Hai K Kisi Dard Ka Dagh…
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota Hai….???
Toh K Seemab Tabiyat Hai Tujhy Keya Maloom
Mousam E Hijar Thehar Jaey To Keya Hota Hai??????????
Tu nay Us Morr Pe Torra Hai Taluq K Jahan
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan………
Ab Ye Aalam Hai K Ankhein Jo Khulein Gi Apni
Yad Aey Ga Teri Deed Ka Manzar Janan……
Mujh Se Mangy Ga Tere Ohad E Mohabbat Ka Hisab…….!!!
Tere Hijran Ka Dehakta Huwa Mehshar Janan
Youhn Mere Dil K Barabar Tera Ghum Aya Hai……..
Jaisy Sheeshy K Muqabil Koi Pathar Janan………
Jaisy Mahtab Ko BeAnt Samondar Chahy
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan

KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA

KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN TERY BAGHER UDAAS THA, SO NAHE RAHA
MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA
TERI DASTARAS MEIN THEN BAKH’SHESHEN, SO NAHE RAHEN
MRY LAB PE HARF-E-SPAAS THA, SO NAHE RAHA
MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
KABI MEIN B CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA
MRY BAD NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
WOH JO LATF-E-KHOF-O-HIRAAS THA, SO NAHE RAHA

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech
Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech
Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech
Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech
dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech
Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech
Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech

Qatal chuptay thay kabi sang ki deewar k bech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech
Apni poshak k chin jany pe afsoos na kar
Sar salamat nae rehty yahan dastar k bech
Surkhian aman ki talqeen mein masroof rahen
Haroof barod ugalty rahy akhbar k bech
Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na mily
Sholy ugtay nazar aay mujhy gulzar k bech
dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mira saya saf-e-ashjar k bech
Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k bech
Dekhy jaty na thy aanso mry jis say Mohsin
Aj hansty howy dekha usay aghyar k bech

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai
Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai
Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai
*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai

Tuesday, 21 June 2011

Sarapa AshK HoOn MeiN Ab

Sarapa AshK HoOn MeiN Ab Bikhar JaOuN To Behter Hai ..........
JiDheR JaTaY HaIn Yeh BaDaL UdhAr JaoUn To BehTEr Hai ...........

Ye Dil KehTa Hai TerE SheHr MeIn KuCh DiN Tehr JaoUN .........
MaGaR HaLaT KehTe HaIn K GhAr JaOuN tO BehTer Hai .........

YaHaN Hai KOn MeRa Jo MujHe SamJHeGa AYy MOHSIN ..........
MeIn KoShIsH Kar K Ab KhuD He SuDhaR JaoUn To BehTer Hai .......

Kuhan Hangama Arzoo Haey Sard

Kuhan Hangama Arzoo Haey Sard
K Hai Mard E Musalmaa'n ka Lahoo Sard

Buto'nko Meri Ladeeni Mubarak
K Aj ha Atish e "Allah hu" Sard

Meri Zindgi kis adhuri rah par gamzan hay

Meri Zindgi kis adhuri rah par gamzan hay

Jahan no Manzil hay na Musafir hay

Na Rasta hay Na Rahi hay

Ye Zindgi kidher ko behti ja rahi hay

Jahan na Lehren hein na Dariya

Na Kinara hay na Mojen

Zaidgi kis Nagar ki Mehman Thehri

Jahan na Izat ha na Ulfat

Na Chahat hay na Muhabbat

Zaidgi is ne to Fana ho jana hay

Phir ye kuen ye Chalti Chali ja rahi hay

Our mein

Sirf is eak Lamhay ke

Intezar mein hon

Jub….

Mujhe mera Maqsad mil jae!

Ya…

Moat aa Jae!

Kaya Poochte Ho

Kaya Poochte Ho , Mein Kesa Hon
Ek Shard Hawa Ka Jonka Hon
Hai Mere Roh Mein Be Cheni
Mein Apne Aap Mein Ulja Hon
Hai Mera Saya Our Koi
Mein Our Kesi Ka Saya Hon
To Khush Hai Apni Duniya Mein
Mein Teri Yaad Mein Jalta Hon
Ab Luat Ke Aa Our Dekh Sona
Ek Umar Se Tanha Tanha Hon

Single shair of Faraz Ahmed Faraz

Kuch muhabat ka nasha tha pehle hm ko Faraz.
Dil jo tota to nashe se muhabat ho gai.


----------------------------------
Yeh wafa to un dinon ki baat hay "Fraaz"
Jab makaan kachy or log sachay hoa krty thy......


----------------------------------
Kon data ha umar bhar ka sahara aay Faraz....
LOG tu JANAZAY man bhi kandhay badaltay rahtay hein....


----------------------------------
"Kis ki Kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta",,,
Faraz,..
"Hum to khud hi Bik gaey kharidar dekh k"...


----------------------------------
'"Ham na badlein gay waqt ki raftaar kay sath,,,
'"Faraz"'
Ham jab b milen gay andaz purana hoga...'".

----------------------------------
"Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz.
Kitna Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha".

----------------------------------
Wo Bewafa na tha youn hi badnaam ho gya,,,,
Faraz..,...
Hazaron chaheny waly thy kis kis say wafa karta......
-


---------------------------------
Hum pe faqat ilzaam k hum hain zuban daraz.......
hum ne to bus kaha tha hamain tum se piyar hai....!
----------------------------------
Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,
Auron k $aharay to Janazay utha kartay hain..!
-
---------------------------------
Yahee soch kar us ki har baat ko sach mana hay
"FARAZ"~
K itnay khubsoorat Lub jhoot kesay bolain gay..~
-
---------------------------------
Bari Mushkil se Sulaaya tha Khud Ko FARAZ Main ne Aaj...!
Apni Aaankon Ko Tare Khuwaab Ka Laalach Day Ker.....!
-
---------------------------------
Wo roz dekhta hai dubtay huay suraj ko faraz.
Kash mai b kisi shaam ka manzir hota....!
----------------------------------
Main us k Haathon me tha
Tute hue Sheeshe ki trha "Faraz",
Bari Umeed thi k bikhrne nhi dega.
Bus giraya kuch is Ada se k
Simatne ki Aaas hi na rahi

Single shair of Faraz Ahmed Faraz

Kuch muhabat ka nasha tha pehle hm ko Faraz.
Dil jo tota to nashe se muhabat ho gai.


----------------------------------
Yeh wafa to un dinon ki baat hay "Fraaz"
Jab makaan kachy or log sachay hoa krty thy......


----------------------------------
Kon data ha umar bhar ka sahara aay Faraz....
LOG tu JANAZAY man bhi kandhay badaltay rahtay hein....


----------------------------------
"Kis ki Kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta",,,
Faraz,..
"Hum to khud hi Bik gaey kharidar dekh k"...


----------------------------------
'"Ham na badlein gay waqt ki raftaar kay sath,,,
'"Faraz"'
Ham jab b milen gay andaz purana hoga...'".

----------------------------------
"Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz.
Kitna Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha".

----------------------------------
Wo Bewafa na tha youn hi badnaam ho gya,,,,
Faraz..,...
Hazaron chaheny waly thy kis kis say wafa karta......
-


---------------------------------
Hum pe faqat ilzaam k hum hain zuban daraz.......
hum ne to bus kaha tha hamain tum se piyar hai....!
----------------------------------
Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,
Auron k $aharay to Janazay utha kartay hain..!
-
---------------------------------
Yahee soch kar us ki har baat ko sach mana hay
"FARAZ"~
K itnay khubsoorat Lub jhoot kesay bolain gay..~
-
---------------------------------
Bari Mushkil se Sulaaya tha Khud Ko FARAZ Main ne Aaj...!
Apni Aaankon Ko Tare Khuwaab Ka Laalach Day Ker.....!
-
---------------------------------
Wo roz dekhta hai dubtay huay suraj ko faraz.
Kash mai b kisi shaam ka manzir hota....!
----------------------------------
Main us k Haathon me tha
Tute hue Sheeshe ki trha "Faraz",
Bari Umeed thi k bikhrne nhi dega.
Bus giraya kuch is Ada se k
Simatne ki Aaas hi na rahi

Bhale DinoN ki baat hai

Bhale DinoN ki baat hai
Bhali see aik shakl thi 
Naa yeh ky husn-e-taam ho 
Naa dekhne mein 'Aam see 

Naa yeh  ky woh chale tu Keh-kashaan see rahguzar laghy
magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage

koi bhi rut ho us ki chchab
fiza ka rang-o-roop thi
woh garmiyon ki chchaaon thi
woh sardiyon ki Dhoop thi

na muddatoN judaa rahe
na saath subh-o-shaam ho
na rishta-e-wafa pe zid
na ye ki izn-e-'Aam ho

na aisi Khush libasiyaan
ki saadgi gila kare
na itni be takallufi
ki aaina haya kare

na ikhtilaat mein woh ram
ki bad-mazah hon Khwahishen
na is qadar supurdigi
ki zach karen nawazishen

na aashiqi junoon ki
ki zindagi 'azaab ho
na is qadar kaThor pan
ki dosti Kharaab ho

kabhi to baat bhi Khafi
kabhi sukoot bhi suKhan
kabhi to kasht-e-z'afraan
kabhi udaasiyoN ka ban

suna hai aik 'umr hai
mu'Amilaat-e-dil ki bhi
visaal-e-jaanfiza to kya
firaaq-e-jaangusal ki bhi

so aik roz kya hua
wafa pe bahas cherr gayi
main ishq ko amar kahoon
woh meri zid se chidh gayi

main ishq ka aseer tha
woh ishq ko qafas kahe
ki umr bhar ke saath ko
woh bad-taraz-hawas kahe

"shajar hajr nahin ki ham
hamesh pa ba gul rahen
na Dhor hain ki rassiyaan
gale main mustaqil rahain

mohabbatoN ki vus'Atain
hamare dst-o-pa mein hain
bas aik dar se nisbatein
sagaan-e-bawafa mein hain

main koi painting nahi
ki aik frame meiN rahoon
wahi jo man ka meet ho
usi ke praim meiN rahoon

tumhari soch jo bhi ho
main is mizaaj ki nahin
mujhe wafa se bair hai
ye baat aaj ki nahin"

na us ko mujh pe maan tha
na mujh ko us pe za'Am hi
jo 'ahad hi koi na hoi
to kya gham-e-shakistagi

so apna apna raasta
hansi Khushi badal diya
woh apni raah chal padi
main apni raah chal diya

bhali si aik shakl thi
bhali si us ki doosti
ab us ki yaad raat din
nahin, magar "kabhi kabhi"