Saturday, 25 June 2011

Tazeer-e-ehtimaam-e-chaman kaun day gaya

Tazeer-e-ehtimaam-e-chaman kaun day gaya
Mujh ko gulaab jaisa kafan kaun day gaya

Daikhay jo khad-o-khaal toh socha hai baareha
Sehra ki chaandini ko badan kaun day gaya

Meri jabeen ki saari lakeerain teri atta
Lekin teri qaba ko shikan kaun day gaya

Teray hunar mai khulqat-e-khushboo sahi magar
Kaanton ko umer bhar ki chubhan kaun day gaya

Jungle say poochti hain hawaaon ki barhami
Jugnoo ki tairgi mai kiran kaun day gaya

Kis nay basaaye aankh mai ashkon kay qaaflay
Be-ghar musaafiron ko watan kaun day gaya

Tujh say toh khair pall ki musaafit ka saath tha
Meray badan ko itni thakan kaun day gaya

Todha hai kis nay nok-e-sinaan par sakoot-e-sabr
Lab bastagi ko taab-e-sukhan kaun day gaya

*Mohsin* wo kaayinaat-e-ghazal hai ussay bhi daikh
Mujh say na pooch mujh ko yeh funn kaun day gaya

No comments:

Post a Comment