Wednesday 22 June 2011

jamegii kaise bisaat-e-yaaraaN ke shiisha-o-jaam bujh gaye haiN

jamegii kaise bisaat-e-yaaraaN ke shiisha-o-jaam bujh gaye haiN
sajegii kaise shab-e-nigaaraaN ke dil sar-e-shaam bujh gaye haiN

vo tiirgii hai rah-e-butaaN meN chiraaGh-e-ruKh hai na shamma-e-vaadaa
kiran ko’ii aarzuu kii laao ke sab dar-o-baam bujh gaye haiN
bahut sambhaalaa vafaa kaa paimaaN magar vo barsii hai ab ke barkhaa
har aik iqraar miT gayaa hai tamaam paiGhaam bujh gaye haiN
qariib aaye mai-e-shab-e-Gham, nazar pe khultaa nahiiN kuch is dam
ke dil pe kis kis kaa naqsh baaqii hai, kaun se naam bujh gaye haiN
bahaar ab aa ke kyaa karegii ke jin se thaa jashn-e-rang-o-naGhmaa
vo gul sar-e-shaaKh jal gaye haiN, vo dil tah-e-daam bujh gaye haiN

No comments:

Post a Comment