Wednesday 22 June 2011

Woh jiski deed mein laakhoN masarrateiN pinhaaNi

Woh jiski deed mein laakhoN masarrateiN pinhaaN
Woh husn jiski tamanna mein jannateiN pinhaaN
Hazaar fitney tah-e-paa-e-naaz Khaak-e-nasheeN
Har ek nigaah Khumar-e-shabaab se rangeeN
Shabaab jis se taKhaiyyul pe bijliyaaN barseiN
Waqaar jiski rafaaqat ko shoKhiyaaN tarseiN
Ada-e-laghzish-e-paa par qeyamateiN qurbaaN
Bayaaz-e-ruKh pey sahar ki shabahateiN qurbaaN
Siyaah zulfouN meiN bazaabta nikhatoN ka hujoom
Taweel raatoN ki Khwabeeda raahatoN ka hujoom
Woh aankh jis k banaao pe Khaaliq itraayey
Zabaan-e-shair ko ta’reef kartey sharmyey
Gudaaz jism qaba jis pe saj k naaz karey
Daraaz qad jisey sarw-e-sahi namaaz kahey
Kisi zamaney meiN is rah-guzar se guzraa tha
Ba-sad Ghuroor-o-tajammul idhar se guzraa tha
Aur ab ye raah guzar bhi hai dilfareb-o-haseeN
Hai uski Khaak meiN kaif-e-sharab-e-sair makeeN
Hawa meiN Shokhi-e-raftaar ki adaaeiN haiN
Faza meiN narmi-e-guftaar ki sadaeN haiN
Gharaz vo husn is raah ka juzv-e-manzar hai
Niyaz-e-ishq ko ek sajda gaah mayassar hai

No comments:

Post a Comment