Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai
Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye
To wo hamla nahin kerta,
Suna hai jab kisi nadi k paani main
Bue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai
Bue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai
To nadi ki ro pehli machhilyaan us ko
Parosi maan leti hain,
Hava k taiz jhonke jab darakhton ko hilaate hain
To Meena apne ghar ko bhool ker
Ka’uve k andon ko paron main thaam leti hai
Suna hai Ghonsle se jab koi bacha gire to
Saara jangle jaag jaata hai.
Naddi main baar aa jaaye
Koi Pull toot jaaye
To kisi lakri k takhte per
Gulahri, Saanp, Cheeta aur Bakri
Saath hote hain.
Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai,
Khuda-wanda Jaleel-o Mu’atbar, Daana-o Beena Munsif-o Akber,
HUMARE SHAHAR MAIN AB,
JANGLON KA HI KOI DASTOOR NAAFIZ KER..!!
No comments:
Post a Comment